Gila-shikwa Kahan Rahta Hai Dil Ham-saz Hota Hai

gila-shikwa kahan rahta hai dil ham-saz hota hai

mohabbat mein to har ek jurm nazar-andaz hota hai

labon par qufl aankhon mein lihaz-e-naz hota hai

mohabbat karne walon ka ajab andaz hota hai

ishaare kaam karte hain mohabbat mein nigahon ke

nigahon se hi baham inkishaf-e-raaz hota hai

guzarti hai jo us par sab gawara karta hai KHush KHush

jafaon se tumhaari dil kahan naraaz hota hai

har ek se hum to be-shak karte hain talqin ulfat ki

baDa taqdir wala hi koi ham-saz hota hai

sukun-e-qalb hasil hai pareshan main nahin dilbar

jo tum se dur hota hai wahi na-saz hota hai

main hun shaki o nazan to faqat is rasm-e-duniya se

wahi ghammaz ho jata hai jo hamraaz hota hai

nahin hai gar ye duniya bhi haqiqat se hi wabasta

to kyun dil is ki jaanib mail-e-parwaz hota hai

baDi tabdiliyan hoti hain ulfat un se hone par

zamir-e-KHud-gharz ka saz-e-be-awaz hota hai

samajhte hain hamin hain hukmaran is sare aalam ke

nazar mein jab hamari wo hasin andaz hota hai

nazar aata hai har su jalwa-e-anwar mein gharq aalam

dil-e-pur-kaif behis dar-haqiqat baz hota hai

juda-gana magar andaz hota hai har aashiq ka

machata hai koi ghul koi be-awaz hota hai

safar manzil-ba-manzil tai kiya jata hai ulfat ka

baDi muddat mein sar wo bargah-e-naz hota hai

wahi hai kaamran aashiq jo us ko par kar jae

dilon ke darmiyan jo ek jahan-e-raaz hota hai

baDha aur un se waqif ho ki aazar-e-gham-e-furqat

dui ke farsh ka ehsas be-andaz hota hai

tanasuKH hai musalsal ibtida-e-afrinash mein

hayat-e-jawedan mein kaun daKHl-andaz hota hai

na ham-pesha na ham-KHana na ham-piyala na ham-bistar

wahi apna hai 'rahbar' jo bhi ham-awaz hota hai

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gila-shikwa Kahan Rahta Hai Dil Ham-saz Hota Hai In English By Famous Poet Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Gila-shikwa Kahan Rahta Hai Dil Ham-saz Hota Hai is written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Read famous Poem Gila-shikwa Kahan Rahta Hai Dil Ham-saz Hota Hai for youth and Student by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Free Download Gila-shikwa Kahan Rahta Hai Dil Ham-saz Hota Hai in PDF.