Haalat Jo Yahi Ai Dil-e-nashad Rahegi

haalat jo yahi ai dil-e-nashad rahegi

basti tere armanon ki aabaad rahegi

is husn-parasti ka yahi hashr hai hona

kul umr meri ishq mein barbaad rahegi

miT jaenge duniya se bhi hum did ke guzre

gar ai but-e-kafir yahi be-dad rahegi

kis ji se bhulaunga tujhe ai ruKH-e-jaanan

ta-roz-e-abad mujh ko teri yaad rahegi

ek umr-e-asiri hi sahi jism mein ai ruh

daim to na ye qaid ki miad rahegi

lab tak nahin aaega tere nam bhi mera

par dil mein lagatar meri yaad rahegi

ek dasht-e-junun se dil-e-wahshi ko nikala

'rahbar' ye teri rahbari yaad rahegi

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haalat Jo Yahi Ai Dil-e-nashad Rahegi In English By Famous Poet Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Haalat Jo Yahi Ai Dil-e-nashad Rahegi is written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Read famous Poem Haalat Jo Yahi Ai Dil-e-nashad Rahegi for youth and Student by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Free Download Haalat Jo Yahi Ai Dil-e-nashad Rahegi in PDF.