Dosti Apni Kisi Se Na Shanasai Hai

dosti apni kisi se na shanasai hai

zindagi ek musalsal shab-e-tanhai hai

husn inayat hai rifaqat hai masihai hai

ishq ibaadat hai parastish hai jabin-sai hai

raaz mahsus hai is darja ki mere dil mein

KHud tamasha hai wo aur KHud hi tamashai hai

jis ke pine mein baqa jis ke pilane mein sawab

meri taqdir mein zahid wo sharab aai hai

hum se mil lete hain ye un ki dil-arai hai

dur ja baiThte hain hum yahi danai hai

aankhon aankhon mein pila di mere saqi ne mujhe

KHauf-e-zillat hai na andesha-e-ruswai hai

hamd-e-bari hai mohabbat jo usi se ho jae

jis ko maKHsus koi apni ada bhai hai

wo mujhe dekh ke parde mein jo chhup jate hain

main samajhta hun mohabbat mujhe ras aai hai

nisf sad-sal se bhi zyaada hui umr tamam

aur kis din ke liye un ki masihai hai

dil mein rakhte hain harifon se chhupa kar mujh ko

un ko malum hai rahbar mera saudai hai

Thik urdu abhi likhni bhi nahin aai hai

aisi kam-ilmi pe kya KHub ye goyai hai

meri aadat hai wafa dil mein shakebai hai

baat yun bargah-e-naz mein ban aai hai

(967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dosti Apni Kisi Se Na Shanasai Hai In English By Famous Poet Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Dosti Apni Kisi Se Na Shanasai Hai is written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Read famous Poem Dosti Apni Kisi Se Na Shanasai Hai for youth and Student by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Free Download Dosti Apni Kisi Se Na Shanasai Hai in PDF.