Fikr Hi Thahri To Dil Ko Fikr-e-KHuban Kyun Na Ho

fikr hi Thahri to dil ko fikr-e-KHuban kyun na ho

KHak hona hai to KHak-e-ku-e-jaanan kyun na ho

dahr mein ai KHwaja Thahri jab asiri na-guzir

dil asir-e-halqa-e-gesu-e-pechan kyun na ho

zist hai jab mustaqil aawaragardi hi ka nam

aql walo phir tawaf-e-ku-e-jaanan kyun na ho

jab nahin masturiyon mein bhi gunahon se najat

dil khule bandon ghariq-e-bahr-e-isyan kyun na ho

ek na ek hangame par mauquf hai jab zindagi

mai-kade mein rind raqsan o ghazal-KHwan kyun na ho

jab KHush o na-KHush kisi ke hath mein dena hai hath

ham-nashin phir baiat-e-jam-e-zar-afshan kyun na ho

jab bashar ki dastaras se dur hai hablul-matin

dasht-e-wahshat mein phir ek kafir ka daman kyun na ho

ek hai jab shor-e-jahl o bang-e-hikmat ka maal

dil halak-e-zauq-e-gulbang-e-pareshan kyun na ho

ek na ek rifat ke aage sajda lazim hai to phir

aadmi mahw-e-sujud-e-sarw-e-KHuban kyun na ho

ek na ek phande hi mein phansna hai jab insan ko

dosh par dam-e-siyah-e-sumbulistan kyun na ho

jab farebon mein hi rahna hai to ai ahl-e-KHirad

lazzat-e-paiman bar-e-sust-paiman kyun na ho

yan jab aawezish hi Thahri hai to zarre chhoD kar

aadmi KHurshid se dast-o-gareban kyun na ho

ek na ek zulmat se jab wabasta rahna hai to 'josh'

zindagi par saya-e-zulf-e-pareshan kyun na ho

(955) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fikr Hi Thahri To Dil Ko Fikr-e-KHuban Kyun Na Ho In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Fikr Hi Thahri To Dil Ko Fikr-e-KHuban Kyun Na Ho is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Fikr Hi Thahri To Dil Ko Fikr-e-KHuban Kyun Na Ho for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Fikr Hi Thahri To Dil Ko Fikr-e-KHuban Kyun Na Ho in PDF.