Gudaz-e-dil Se Baatin Ka Tajalli-zar Ho Jaana

gudaz-e-dil se baatin ka tajalli-zar ho jaana

mohabbat asl mein hai ruh ka bedar ho jaana

nawed-e-aish se ai dil zara hushyar ho jaana

kisi taza musibat ke liye tayyar ho jaana

wo un ke dil mein shauq-e-KHud-numai ka KHayal aana

wo har shai ka tabassum ke liye tayyar ho jaana

mizaj-e-husn ko ab bhi na samjho to qayamat hai

hamara aur wafa ke nam se be-zar ho jaana

sahar ka is tarah angDai lena dil-farebi se

udhar shair ke mahsusat ka bedar ho jaana

tawassul se tere dil mein bharunga quwwaten barqi

zara meri taraf bhi ai nigah-e-yar ho jaana

wo aaraish mein sab quwwat kisi ka sarf kar dena

tahammul mein wo har koshish meri bekar ho jaana

maaz-allah ab ye rang hai duniya ki mahfil ka

KHuda ka nam lena aur zalil o KHwar ho jaana

ragon se KHun sara zahr ban kar phuT niklega

zara ai 'josh' zabt-e-shauq se hushyar ho jaana

(924) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gudaz-e-dil Se Baatin Ka Tajalli-zar Ho Jaana In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Gudaz-e-dil Se Baatin Ka Tajalli-zar Ho Jaana is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Gudaz-e-dil Se Baatin Ka Tajalli-zar Ho Jaana for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Gudaz-e-dil Se Baatin Ka Tajalli-zar Ho Jaana in PDF.