Hairat Hai Aah-e-subh Ko Sari Faza Sune

hairat hai aah-e-subh ko sari faza sune

lekin zamin pe but na falak par KHuda sune

fariyaad-e-andalib se kanpe tamam bagh

lekin na gul na ghuncha na baad-e-saba sune

KHud apni hi sadaon se gunje hue hain kan

koi kisi ki baat sune bhi to kya sune

ye bhi ajab tilism hai ai shorish-e-hayat

dard-ashna ki baat na dard-ashna sune

shahon ke dil to sang hain shahon ka zikr kya

ye bhi nahin ki haal gada ka gada sune

aalam hai ye ki gosh-e-bashar tak hai be-niyaz

hona tha ye ki banda kahe aur KHuda sune

sunte bhi hain jo log to yun dastan-e-gham

jaise yazid saneha-e-karbala sune

han ai KHuda-e-arsh-e-barin o butan-e-farsh

tum mein se ho koi to mera majra sune

pashmina-posh rah-nashinon ki iltija

shayad kabhi wo shahid-e-atlash-qaba sune

hum nadir o yazid na hajjaj hain na shimr

allah aur 'josh' hamari dua sune

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hairat Hai Aah-e-subh Ko Sari Faza Sune In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Hairat Hai Aah-e-subh Ko Sari Faza Sune is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Hairat Hai Aah-e-subh Ko Sari Faza Sune for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Hairat Hai Aah-e-subh Ko Sari Faza Sune in PDF.