Na ChheD Shair Rabab-e-rangin Ye Bazm Abhi Nukta-dan Nahin Hai

na chheD shair rabab-e-rangin ye bazm abhi nukta-dan nahin hai

teri nawa-sanjiyon ke shayan faza-e-hindostan nahin hai

teri samaat nigar-e-fitrat ke lahn ki raaz-dan nahin hai

wagarna zarra hai kaun aisa ki jis ke munh mein zaban nahin hai

agarche pamal hain ye bahren magar suKHan hai buland hamdam

na dil mein lana guman-e-pasti meri zamin aasman nahin hai

zamir-e-fitrat mein pur-fishan hai chaman ki tartib-e-nau ka arman

KHizan jise to samajh raha hai wo dar-haqiqat KHizan nahin hai

harim-e-anwar-e-sarmadi hai har ek zarra ba-rabb-e-kaba

mera ye aini mushaheda hai fareb-e-wahm-o-guman nahin hai

har ek kanTe pe surKH kirnen har ek kali mein charagh raushan

KHayal mein muskurane wale tera tabassum kahan nahin hai

falak se hangam-e-sher-goi sadaen paiham ye aa rahi hain

ki aaj ai 'josh' nukta-parwar tera sa jadu bayan nahin hai

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na ChheD Shair Rabab-e-rangin Ye Bazm Abhi Nukta-dan Nahin Hai In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Na ChheD Shair Rabab-e-rangin Ye Bazm Abhi Nukta-dan Nahin Hai is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Na ChheD Shair Rabab-e-rangin Ye Bazm Abhi Nukta-dan Nahin Hai for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Na ChheD Shair Rabab-e-rangin Ye Bazm Abhi Nukta-dan Nahin Hai in PDF.