Phir Aashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar Hain Hum

phir aashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar hain hum

phir mahram-e-kashakash-e-har-KHair-o-shar hain hum

har sans de rahi hai KHabar kaenat ki

phir baada-e-jamal se yun be-KHabar hain hum

phir ishq ki nazar mein hai mashuqiyat ka naz

phir husn-e-dil-nawaz se shir-o-shakar hain hum

jine ke ishtiyaq se hai phir ramidgi

phir sina-e-hayat mein azm-e-safar hain hum

hoshyar-bash zulmat-e-gham-KHana-e-hayat

phir markaz-e-tajalli-e-shams-o-qamar hain hum

kis zom mein hai ai shab-e-daijur-e-zindagi

phir raazdar-e-nur-e-tulu-e-sahar hain hum

hai kis KHayal-e-KHam mein ai KHarzar-e-dahr

phir kaamran-e-KHanda-e-gul-ha-e-tar hain hum

phir zindagi hai gham ki amanat liye hue

har daulat-e-nashat se phir bahra-war hain hum

phir faiz-e-ashiqi se ba-in be-bazaati

jeb-e-jahan mein daulat-e-lal-o-guhar hain hum

phir bawajud-e-faqr wo hasil hai tumtaraq

tu ye kahe ki sahib-e-taj-o-kamar hain hum

aankhon mein nur-e-mushaf-e-jaanan liye hue

phir kardgar-e-ishq ke paigham-bar hain hum

khulte nahin hain 'josh' dimaghon pe dil ke raaz

baala-tar az rasai-e-naqd-o-nazar hain hum

(1004) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Aashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar Hain Hum In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Phir Aashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar Hain Hum is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Phir Aashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar Hain Hum for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Phir Aashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar Hain Hum in PDF.