Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9f15ffc371c77ce76d8d72a7b1dd40e7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Numayan Muntaha-e-sai-e-paiham Hoti Jati Hai - Josh Malihabadi Poetry In English - Darsaal

Numayan Muntaha-e-sai-e-paiham Hoti Jati Hai

numayan muntaha-e-sai-e-paiham hoti jati hai

tabiat be-niyaz-e-har-do-alam hoti jati hai

uThi jati hai dil se haibat-e-alam-e-ruhani

jarahat bahr-e-qalb-e-zar marham hoti jati hai

kinara kar raha hai ruh se haijaan-e-sartabi

ki gardan justuju ke shauq mein KHam hoti jati hai

junun ka chha raha hai zindagi par ek dhundalka sa

KHirad ki raushni sine mein maddham hoti jati hai

nasim-e-be-niyazi aa rahi hai baam-e-gardun se

urus-e-muddaa ki zulf barham hoti jati hai

numayan ho chala hai ek jahan chashm-e-tasawwur par

nazar shayad harif-e-saghar-e-jam hoti jati hai

girah yun khul rahi hai har nafas zauq-e-tamasha ki

ki har adna si shai ab ek aalam hoti jati hai

faza mein kanpti hain dhundli dhundli nuqrai shaklen

har ek taKHil-e-pakiza mujassam hoti jati hai

na jaane sina-e-ehsas par ye hat hai kis ka

tabiat be-niyaz-e-shadi-o-gham hoti jati hai

samajh mein aaen kya barikiyan qanun-e-qudrat ki

ibaadat kasrat-e-mani se mubham hoti jati hai

KHajil tha jis ki shorish se talatum bahr-e-hasti ka

mere dil mein wo halchal 'josh' ab kam hoti jati hai

(931) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Numayan Muntaha-e-sai-e-paiham Hoti Jati Hai In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Numayan Muntaha-e-sai-e-paiham Hoti Jati Hai is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Numayan Muntaha-e-sai-e-paiham Hoti Jati Hai for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Numayan Muntaha-e-sai-e-paiham Hoti Jati Hai in PDF.