Sarshaar Hun Sarshaar Hai Duniya Mere Aage

sarshaar hun sarshaar hai duniya mere aage

kaunain hai ek larzish-e-sahba mere aage

har najm hai ek aariz-e-raushan mere nazdik

har zarra hai ek dida-e-bina mere aage

har jam hai nazzara-e-kausar mere haq mein

har gam hai gulgasht-e-musalla mere aage

har phul hai lal-e-shakar-afshan ki hikayat

har ghuncha hai ek harf-e-tamanna mere aage

ek mazhaka hai pursish-e-uqba mere nazdik

ek wahm hai andesha-e-farda mere aage

hon kitni hi tarik shab-e-zist ki rahen

ek nur sa rahta hai jhalakta mere aage

main aur Darun saulat-e-duniya-e-dani se

KHud larza-bar-andam hai duniya mere aage

jhukta hai ba-sad ijz kalisa mere dar par

aata hai larazta hua kaba mere aage

paimane se jis waqt chhalak jati hai sahba

lahraata hai ek husn ka dariya mere aage

jab chand jhamakta hai mere saghar-e-zar mein

chalta nahin KHurshid ka dawa mere aage

jab jhum ke mina ko uThata hun ghaTa mein

hilta hai sar-e-gumbad-e-mina mere aage

aati hai dulhan ban ke mashiyyat ki jilau mein

aawargri-e-adam-o-hawwa mere aage

paimane pe jis waqt jhukata hun surahi

jhukta hai sar-e-alam-e-baala mere aage

pahlu mein hai ek zohra-jabin hath mein saghar

is waqt na duniya hai na uqba mere aage

'josh' uThti hai dushman ki nazar jab meri jaanib

khulta hai mohabbat ka daricha mere aage

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sarshaar Hun Sarshaar Hai Duniya Mere Aage In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Sarshaar Hun Sarshaar Hai Duniya Mere Aage is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Sarshaar Hun Sarshaar Hai Duniya Mere Aage for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Sarshaar Hun Sarshaar Hai Duniya Mere Aage in PDF.