Sayyaad Dam-e-zulf Se Mujhko Riha Kare
sayyaad dam-e-zulf se mujh ko riha kare
wo din tamam umr na aae KHuda kare
le de ke rah gaya hai yahi ek aasra
aisa kabhi na ho ki wo tark-e-wafa kare
mujh be-nawa ke naz uThae wo naznin
sultan aur kawish-e-qurb-e-gada kare
daman-e-bu-e-kakul-e-shab rang chhoD de
ya rab kabhi ye zulm na baad-e-saba kare
jis ke maraz pe sehat-e-alam nisar ho
kis tarah wo mariz dua-e-shifa kare
but jis pe multafit ho ba-hadd-e-supurdagi
zindiq hai agar wo KHuda se dua kare
umr-e-daraaz o puKHtagi-e-fikr-e-nukta-sanj
kahti hai KHam kaam mujhe han kaha kare
us ru-e-dil-nashin pe nigahen jami rahin
fariyaad kar rahi hai basirat ki kya kare
ab dam-e-husn-o-ishq se niklun na ta-ba marg
ghar jal raha hai aql-e-rasa ka jala kare
hikmat namak-haram hun be-shak tera magar
jis par paDe ye waqt wo bechaara kya kare
ya rab hisar-e-najd se ab uTh sake na 'josh'
yunan de raha hai duhai diya kare
(905) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544
Josh Malihabadi