Soz-e-gham De Ke Mujhe Usne Ye Irshad Kiya

soz-e-gham de ke mujhe us ne ye irshad kiya

ja tujhe kashmakash-e-dahr se aazad kiya

wo karen bhi to kin alfaz mein tera shikwa

jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya

dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diya

jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya

ai main sau jaan se is tarz-e-takallum ke nisar

phir to farmaiye kya aap ne irshad kiya

is ka rona nahin kyun tum ne kiya dil barbaad

is ka gham hai ki bahut der mein barbaad kiya

itna manus hun fitrat se kali jab chaTki

jhuk ke main ne ye kaha mujh se kuchh irshad kiya

meri har sans hai is baat ki shahid ai maut

main ne har lutf ke mauqe pe tujhe yaad kiya

mujh ko to hosh nahin tum ko KHabar ho shayad

log kahte hain ki tum ne mujhe barbaad kiya

kuchh nahin is ke siwa 'josh' harifon ka kalam

wasl ne shad kiya hijr ne nashad kiya

(1016) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soz-e-gham De Ke Mujhe Usne Ye Irshad Kiya In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Soz-e-gham De Ke Mujhe Usne Ye Irshad Kiya is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Soz-e-gham De Ke Mujhe Usne Ye Irshad Kiya for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Soz-e-gham De Ke Mujhe Usne Ye Irshad Kiya in PDF.