Subh Baalin Pe Ye Kahta Hua Gham-KHwar Aaya

subh baalin pe ye kahta hua gham-KHwar aaya

uTh ki fariyaad-ras-e-ashiq-e-bimar aaya

baKHt-e-KHwabida gaya zulmat-e-shab ke hamrah

subh ka nur liye daulat-e-bedar aaya

KHair se bagh mein phir ghuncha-e-gul-rang khila

shukr hai daur mein phir saghar-e-sarshaar aaya

jhum ai tishna-e-gul-bang nigar-e-ishrat

ki lab-e-yar liye chashma-e-guftar aaya

shukr-e-izad ki wo sarKHail-e-masiha-nafsan

zulf bar-dosh pai-e-pursish-e-bimar aaya

ruKHsat ai shikwa-e-qismat ki sar-e-bazm-e-nashat

nasiKH-e-masala-e-andak-o-bisyar aaya

lillahil-hamd ki gulzar mein hangam-e-subuh

hukm-e-azadi-e-murghan-e-giraftar aaya

ghuncha-e-basta chaTak jag uThi mauj-e-saba

shola-e-husn bhaDak misr ka bazar aaya

KHush ho ai ishq ki phir husn hua mail-e-naz

muzhda ai jins-e-mohabbat ki KHaridar aaya

ai nazar shukr baja la ki khuli zulf-e-daraaz

ai sadaf aankh uTha abr-e-guhar-bar aaya

baadban naz se lahra ke chali baad-e-murad

karwan id mana qafila-salar aaya

KHush ho ai gosh ki jibril-e-tarannum chahka

muzhda ai chashm ki paighambar-e-anwar aaya

KHush ho ai pir-e-mughan 'josh' hua naghma-farosh

muzhda ai duKHtar-e-raz rind-e-qadah-KHwar aaya

(562) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Baalin Pe Ye Kahta Hua Gham-KHwar Aaya In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Subh Baalin Pe Ye Kahta Hua Gham-KHwar Aaya is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Subh Baalin Pe Ye Kahta Hua Gham-KHwar Aaya for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Subh Baalin Pe Ye Kahta Hua Gham-KHwar Aaya in PDF.