Subu UTha Ki Faza Sim-e-KHam Hai Saqi

subu uTha ki faza sim-e-KHam hai saqi

faraaz-e-koh pe mah-e-tamam hai saqi

chune hue hain piyale jhuki hui botal

naya quud nirala qayam hai saqi

ba-naz-e-mughbachagan o ba-faiz-e-nara-e-hu

huma-e-arz-o-sama zer-e-dam hai saqi

faza pe nahr-e-pur-afshan-e-tab hur o tuhur

ghina mein shahr-e-qasur-o-KHayam hai saqi

ye kaun shahid-e-masti-farosh o naghma-nawaz

nafas ke tar pe garm-e-KHiram hai saqi

na ism o jism na harf o nafas na saya o naql

ye kya tilism ye kaisa maqam hai saqi

ruke na daur ki ab tak ba-zer-e-charKH-e-kabud

riya halal hai sahba haram hai saqi

ba-nam-e-adam-o-hawwa pila ki garm-e-surud

nasim-e-roza-e-darus-salam hai saqi

subu-e-qila-shikan ki sipar inayat kar

ki tegh-e-daur-e-zaman be-niyam hai saqi

agar ghiza-e-KHayal-o-nazar se hai mahrum

hayat-e-zehn ka mah-e-siyam hai saqi

tamam daulat-e-duniya-o-din pe bhaari hai

wo dil jo basta-e-hubb-e-anam hai saqi

ajab nahin ki tujhe bhi pasand aae ye qaul

jhuke na dil to ibaadat haram hai saqi

sifat o zat ke aiwan-e-ruh-parwar tak

subu se fasala-e-nim-gam hai saqi

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subu UTha Ki Faza Sim-e-KHam Hai Saqi In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Subu UTha Ki Faza Sim-e-KHam Hai Saqi is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Subu UTha Ki Faza Sim-e-KHam Hai Saqi for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Subu UTha Ki Faza Sim-e-KHam Hai Saqi in PDF.