Tajrabe Ke Dasht Se Dil Ko Guzarne Ke Liye

tajrabe ke dasht se dil ko guzarne ke liye

roz ek surat nai hai ghaur karne ke liye

jab koi banta hai lakhon hastiyon ko meT kar

subh taron ko dabaati hai ubharne ke liye

hamil-e-asrar-e-fitrat hun gada bhi hun to kya

baat ye kafi hai mujh ko faKHr karne ke liye

ruh ko chamka KHudi ko toD kar zine bana

do ye tadbiren hain duniya mein ubharne ke liye

ghaur se dekha nizam-e-dahr to sabit hua

aadmi paida hua hai kaam karne ke liye

subh uTh kar aansuon se KHun ke rota hun main

dil ke naqshe mein wafa ka rang bharne ke liye

gauhar-e-maqsud KHud milta hai himmat shart hai

muztarib rahta hai har moti ubharne ke liye

aankh sharmai hui hai baal peshani pe hain

aaina-KHane mein jate hain sanwarne ke liye

kah do duniya ke hawadis se na chheDen is tarah

'josh' hum tayyar hi baiThe hain marne ke liye

(1367) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tajrabe Ke Dasht Se Dil Ko Guzarne Ke Liye In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Tajrabe Ke Dasht Se Dil Ko Guzarne Ke Liye is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Tajrabe Ke Dasht Se Dil Ko Guzarne Ke Liye for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Tajrabe Ke Dasht Se Dil Ko Guzarne Ke Liye in PDF.