Ye Nasib-e-shairi Hai Zahe Shan-e-kibriyai

ye nasib-e-shairi hai zahe shan-e-kibriyai

ki mile na zindagi bhar mujhe dad-e-KHush-nawai

ba-KHuda azim-tar hai shohda ke KHun se bhi

mere sina-e-qalam mein jo bhari hai raushnai

ye ajib majra hai ki KHadyau-e-haft-qulzum

taraf-e-sarab dauDe pai-e-qismat-azmai

falak aur use jhukae sar-e-manzil-e-safihan

malak aaen jis ke dar par ba-hawa-e-jabha-sai

chaman-e-shuur-e-nau ko jo lahu se apne sinche

kabhi us ko sukh na baKHshe koi panja-e-hinai

hama saz hun ba-zahir hama soz hun ba-baatin

meri zindagi bukai meri shairi ghinai

mere tar o paud larzan ba-hawa-e-na-muradi

mere KHadd-o-KHal daraKHshan ba-tabassum-e-riyai

mera dil hai girya maskan mere lab tarana manzil

meri nai shikast-e-KHatir meri lai hai momyai

mera jam-e-shab suleman hama taj-e-KHusrawana

meri chashm-e-roz paima hama kasa-e-gadai

meri bargah-e-hasti hama ijz bandagana

meri bargah-e-masti hama satwat-e-KHudai

dar-e-KHalq par jhuka hai na jhukega ta qayamat

sar-e-'josh' mein bhara hai wo ghurur-e-kibriyai

(971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Nasib-e-shairi Hai Zahe Shan-e-kibriyai In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Ye Nasib-e-shairi Hai Zahe Shan-e-kibriyai is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Ye Nasib-e-shairi Hai Zahe Shan-e-kibriyai for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Ye Nasib-e-shairi Hai Zahe Shan-e-kibriyai in PDF.