Manazir-e-sahar
kya ruh-faza jalwa-e-ruKHsar-e-sahar hai
kashmir dil-e-zar hai firdaus-e-nazar hai
har phul ka chehra araq-e-husn se tar hai
har chiz mein ek baat hai har shai mein asar hai
har samt bhaDakta hai ruKH-e-hur ka shoala
har zarra-e-nachiz mein hai tur ka shoala
larzish wo sitaron ki wo zarron ka tabassum
chashmon ka wo bahna ki fida jin pe tarannum
gardun pe sapedi-o-siyahi ka tasadum
tufan wo jalwon ka wo naghmon ka talatum
uDte hue gesu wo nasim-e-sahari ke
shanon pe pareshan hain ya baal pari ke
wo phailna KHushbu ka wo kaliyon ka chaTakna
wo chandni maddham wo samundar ka jhalakna
wo chhanw mein taron ki gul-e-tar ka mahakna
wo jhumna sabze ka wo kheton ka lahakna
shaKHon se mili jati hain shaKHen wo asar hai
kahti hai nasim-e-sahari id-e-sahar hai
KHunki wo bayaban ki wo rangini-e-sahra
wo wadi-e-sarsabz wo talab-e-musaffa
peshani-e-gardun pe wo hansta hua tara
wo raste jangal ke wo bahta hua dariya
har samt gulistan mein wo ambar gulon ke
shabnam se wo dhoe hue ruKHsar gulon ke
wo ruh mein anwar-e-KHuda subh wo sadiq
wo husn jise dekh ke har aankh ho aashiq
wo sadgi insan ki fitrat ke mutabiq
zarrin wo ufuq nur se labrez wo mashriq
wo naghma-e-daud parindon ki sada mein
pairahan-e-yusuf ki wo tasir hawa mein
wo barg-e-gul-e-taza wo shabnam ki latafat
ek husn se wo KHanda-e-saman-e-haqiqat
wo jalwa-e-asnam wo but-KHane ki zinat
zahid ka wo manzar wo barhaman ki sabahat
naqus ke sine se sadaen wo fughan ki
wo hamd mein Dubi hui aawaz azan ki
aaqa ka ghulamon se ye hai qurb ka hangam
dil hote hain sarshaar fana hote hain aalam
chha jati hai rahmat to baras paDte hain inam
is waqt kisi tarah munasib nahin aaram
rone mein jo lazzat hai to aahon mein maza hai
ai ruh KHudi chhoD ki nazdik KHuda hai
(3157) Peoples Rate This