Rishwat

log hum se roz kahte hain ye aadat chhoDiye

ye tijarat hai KHilaf-e-admiyat chhoDiye

is se bad-tar lat nahin hai koi ye lat chhoDiye

roz aKHbaron mein chhapta hai ki rishwat chhoDiye

bhul kar bhi jo koi leta hai rishwat chor hai

aaj qaumi pagalon mein raat din ye shor hai

kis ko samjhaen use khoden to phir paenge kya

hum agar rishwat nahin lenge to phir khaenge kya

qaid bhi kar den to hum ko rah par laenge kya

ye junun-e-ishq ke andaz chhuT jaenge kya

mulk bhar ko qaid kar de kis ke bas ki baat hai

KHair se sab hain koi do-chaar das ki baat hai

ye hawas ye chor bazari ye mahngai ye bhaw

rai ki qimat ho jab parbat to kyun na aae taw

apni tanKHwahon ke nale mein hai pani aadh-paw

aur lakhon Tan ki bhaari apne jiwan ki hai naw

jab talak rishwat na len hum dal gal sakti nahin

naw tanKHwahon ke pani mein to chal sakti nahin

rishwaton ki zindagi hai chor-bazari ke sath

chal rahi hai be-zari ahkaam-e-zardari ke sath

phurtiyan chuhon ki hain billi ki tarrari ke sath

aap roken KHwah kitni hi sitamgari ke sath

hum nahin hilne ke sun lije kisi bhaunchaal se

kaam ye chalta rahega aap ke iqbaal se

ye hai mil wala wo baniya hai ye sahukar hai

ye hai dukan-dar wo hai wed ye attar hai

wo agar Thag hai to ye Daku hai wo baT-mar hai

aaj har gardan mein kali jit ka ek haar hai

haif mulk-o-qaum ki KHidmat-guzari ke liye

rah gae hain ek hamin iman-dari ke liye

bhuk ke qanun mein iman-dari jurm hai

aur be-imaniyon par sharmsari jurm hai

dakuon ke daur mein parhez-gari jurm hai

jab hukumat KHam ho to puKHta-kari jurm hai

log aTkate hain kyun roDe hamare kaam mein

jis ko dekho KHair se nanga hai wo hammam mein

tond walon ki to ho aaina-dari wah wa

aur hum bhukon ke sar par chand-mari wah wa

un ki KHatir subh hote hi nahaari wah wa

aur hum chaTa karen iman-dari wah wa

seTh ji to KHub motor mein hawa khate phiren

aur hum sab jutiyan galiyon mein chaTKHate phiren

KHub haq ke aastan par aur jhuke apni jabin

jaiye rahne bhi dije naseh-e-gardun-nashin

tauba tauba hum bhaDi mein aa ke aur dekhen zamin

aankh ke andhe nahin hain ganTh ke pure nahin

hum phaTak sakte nahin parhez-gari ke qarib

aql-mand aate nahin iman-dari ke qarib

is girani mein bhala kya ghuncha-e-iman khile

jau ke dane saKHt hain tanbe ke sikke pil-pile

jaen kapDe ke liye to dam sun kar dil hile

jab gareban ta-ba-daman aae to kapDa mile

jaan bhi de de to saste dam mil sakta nahin

aadmiyat ka kafan hai doston kapDa nahin

sirf ek patlun silwana qayamat ho gaya

wo silai li miyan darzi ne nanga kar diya

aap ko malum bhi hai chal rahi hai kya hawa

sirf ek tie ki qimat ghonT deti hai gala

halki Topi sar pe rakhte hain to chakraata hai sar

aur jute ki taraf baDhiye to jhuk jata hai sar

thi buzurgon ki jo banyain wo baniya le gaya

ghar mein jo gaDhi kamai thi wo gaDha le gaya

jism ki ek ek boTi gosht wala le gaya

tan mein baqi thi jo charbi ghi ka pyala le gaya

aai tab rishwat ki chiDiya pankh apne khol kar

warna mar jate miyan kutte ki boli bol kar

pattharon ko toDte hain aadmi ke ustuKHan

sang-bari ho to ban jati hai himmat saeban

peT mein leti hai lekin bhuk jab angDaiyan

aur to aur apne bachche ko chaba jati hai man

kya bataen baziyan hain kis qadar haare hue

rishwaten phir kyun na len hum bhuk ke mare hue

aap hain fazl-e-KHuda-e-pak se kursi-nashin

intizam-e-saltanat hai aap ke zer-e-nagin

aasman hai aap ka KHadim to launDi hai zamin

aap KHud rishwat ke zimmedar hain fidwi nahin

baKHshte hain aap dariya kashtiyan khete hain hum

aap dete hain mawaqe rishwaten lete hain hum

Thik to karte nahin buniyaad-e-na-hamwar ko

de rahe hain galiyan girti hui diwar ko

sach bataun zeb ye deta nahin sarkar ko

paliye bimariyon ko mariye bimar ko

illa-e-rishwat ko is duniya se ruKHsat kijiye

warna rishwat ki dhaDalle se ijazat dijiye

bad bahut bad-shakl hain lekin badi hai naznin

jaD ko bose de rahe hain peD se chin-bar-jabin

aap go pani ulachte hain ba-tarz-e-dil-nashin

naw ka suraKH lekin band farmate nahin

koDhiyon par aastin kab se chaDhae hain huzur

koDh ko lekin kaleje se lagae hain huzur

dast-kari ke ufuq par abr ban kar chhaiye

jahl ke ThanDe lahu ko ilm se garmaiye

kar-KHane kijiye qaem mashinen laiye

un zaminon ko jo mahw-e-KHwab hain chaunkaiye

KHwah kuchh bhi ho munDhe ye bail chaDh sakti nahin

mulk mein jab tak ki paida-war baDh sakti nahin

dil mein jitna aae luTen qaum ko shah-o-wazir

khinch le KHanjar koi joDe koi chille mein tir

be-dhaDak pi kar gharibon ka lahu akDen amir

dewta ban kar rahen to ye ghulaman-e-haqir

doston ki galiyan har aan sahne dijiye

KHana-zadon ko yunhi shaitan rahne dijiye

dam ek chhoTe se kuze ke hain sau jam-e-bilur

mol lene jaen ek qatra to den nahr-o-qusur

ek diya jo bechta hai mangta hai sham-e-tur

ek zara se sang-reze ki hai qimat koh-e-nur

jab ye aalam hai to hum rishwat se kya tauba karen

tauba rishwat kaisi hum chanda na len to kya karen

zulf us co-operatiwe silsile ki hai daraaz

chheDte hain hum kabhi to wo kabhi rishwat ka saz

gah hum bante hain qumri gah wo bante hain baz

aap ko malum kya aapas ka ye raaz-o-niyaz

naw hum apni khiwate bhi hain aur khete bhi hain

rishwaton ke lene wale rishwaten dete bhi hain

baadshahi taKHt par hai aaj har shai jalwa-gar

phir rahe hain Thokaren khate zar-o-lal-o-guhar

KHas chizen qimaten un ki to hain aflak par

aab-KHora munh phulata hai aTThanni dekh kar

chauda aane ser ki aawaz sun kar aaj-kal

lal ho jata hai ghusse se TamaTar aaj-kal

nastaran mein naz baqi hai na gul mein rang-o-bu

ab to hai sehn-e-chaman mein KHar-o-KHas ki aabru

KHurdani chizon ke chehron se Tapakta hai lahu

rupae ka rang faq hai ashrafi hai zard-ru

haal ke sikke ko mazi ka jo sikka dekh le

sau rupe ke note ke munh par do anni thuk de

waqt se pahle hi aai hai qayamat dekhiye

munh ko Dhanpe ro rahi hai aadmiyat dekhiye

dur ja kar kis liye taswir-e-ibrat dekhiye

apne qibla 'josh' sahab hi ki haalat dekhiye

itni gambhiri pe bhi mar-mar ke jite hain janab

sau jatan karte hain to ek ghunT pite hain janab

(1881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rishwat In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Rishwat is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Rishwat for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Rishwat in PDF.