Sawan Ke Mahine

firdaus banae hue sawan ke mahine

ek gul-ruKH o nasrin-badan o sarw-e-sahi ne

mathe pe idhar kakul-e-zholida ki lahren

gardun pe udhar abr-e-KHiraman ke safine

meinh jitna barasta tha sar-e-daman-e-kohsar

itne hi zamin apni ugalti thi dafine

allah-re ye farman ki is mast hawa mein

hum munh se na bolenge agar pi na kisi ne

wo munis-o-gham-KHwar tha jis ke liye barson

mangi thin duaen mere aaghosh-e-tahi ne

gul-rez the sahil ke lachakte hue paude

gul-rang the talab ke tarshe hue zine

barish thi lagatar to yun gard thi mafqud

jis tarah mai-e-nab se dhul jate hain sine

dam bhar ko bhi thamti thin agar sard hawaen

aate the jawani ko pasine pe pasine

bhar di thi chaTanon mein bhi ghunchon ki si narmi

ek fitna-e-kaunain ki nazuk-badani ne

geti se ubalte the tamanna ke saliqe

gardun se baraste the mohabbat ke qarine

kya dil ki tamannaon ko marbut kiya tha

sabze pe chamakti hui sawan ki jhaDi ne

badli thi falak par ki junun-KHez jawani

bunden thin zamin par ki anguThi ke nagine

shaKHon pe parinde the jhaTakte hue shahpar

nahron mein baten apne ubhaare hue sine

is fasl mein is darja raha be-KHud o sarshaar

maiKHane se bahar mujhe dekha na kisi ne

kya lamha-e-fani tha ki muD kar bhi na dekha

di kitni hi aawaz hayat-e-abadi ne

(1878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sawan Ke Mahine In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Sawan Ke Mahine is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Sawan Ke Mahine for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Sawan Ke Mahine in PDF.