Ye Kaun UTha Hai Sharmata

ye kaun uTha hai sharmata

rain ka jaga nind ka mata

nind ka mata dhum machata

angDai leta bal khata

ye kaun uTha hai sharmata

ruKH pe surKHi aankh mein jadu

bhini bhini bar mein KHushbu

banki chitwan simTe abru

nichi nazren bikhre gesu

ye kaun uTha hai sharmata

nind ki lahren ganga jamni

jild ke niche halki halki

aanchal Dhalka maski sari

halki mehndi dhundli bindi

ye kaun uTha hai sharmata

Duba hua ruKH tabani mein

anwar-e-sahar peshani mein

ya aab-e-guhar tughyani mein

ya chand ka mukhDa pani mein

ye kaun uTha hai sharmata

ruKHsar pe mauj-e-rangini

kachchi chandi sachchi chini

aankhon mein nuqush-e-KHud-bini

mukhDe pe sahar ki shirini

ye kaun uTha hai sharmata

aankh mein ghaltan ishrat-gahen

nind ki sansen jaise aahen

bikhri zulfen uryan banhen

jaan se maren jis ko chahen

ye kaun uTha hai sharmata

phaila phaila aankh mein kajal

uljha uljha zulf ka baadal

nazuk gardan phul si haikal

surKH papoTe nind se bojhal

ye kaun uTha hai sharmata

kuchh jag rahi kuchh soti hai

har mauj-e-saba munh dhoti hai

na-shushta ruKH ya moti hai

angDai se jiz-biz hoti hai

ye kaun uTha hai sharmata

chehra phika nind ke mare

phike pan mein shahd ke dhaare

jo bhi dekhe jaan ko ware

dharti mata bojh sahaare

ye kaun uTha hai sharmata

halchal mein dil ki basti hai

tufan-e-junun mein hasti hai

aankh mein shab ki masti hai

aur masti dil ko Dasti hai

ye kaun uTha hai sharmata

(1846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaun UTha Hai Sharmata In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Ye Kaun UTha Hai Sharmata is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Ye Kaun UTha Hai Sharmata for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Ye Kaun UTha Hai Sharmata in PDF.