Hawadis Par Na Ai Nadan Nazar Kar
hawadis par na ai nadan nazar kar
qaza se jang be-KHauf-o-KHatar kar
muafi bhi saza se kam nahin hai
bas ab is darguzar se darguzar kar
jahan Dubi thi kashti aarzu ki
usi girdab mein nikli ubhar kar
kabhi to mail-e-tark-e-sitam ho
kabhi mujh par karam ki bhi nazar kar
guzara to yahan mushkil hai ai dil
magar ab jis tarah bhi ho guzar kar
wo mujh KHunin-kafan se puchhte hain
kahan jaane lage ho ban-sanwar kar
wahi hasti ka chakkar hai yahan bhi
bhanwar hi mein rahe hum par utar kar
meri muKHtariyon ke sath ya-rab
meri majburiyon par bhi nazar kar
nae aalam idhar bhi hain udhar bhi
yahi dekha do-alam se guzar kar
bayan-e-dard-e-dil ai 'josh' kab tak
KHuda-ra ab ye qissa muKHtasar kar
(1024) Peoples Rate This