Go Ki Mohtaj Hain Gada Hain Hum

go ki mohtaj hain gada hain hum

be-niyazi ke baadsha hain hum

chashm-e-tahqir se hamein mat dekh

KHak to hain pe tutiya hain hum

aah is umr-e-be-baqa ki tarah

rahraw-e-kishwar-e-fana hain hum

aisa be-barg o be-nawahi kaun

jaise be-barg o be-nawa hain hum

go hamein tu kabhi na yaad kare

par teri yaad mein sada hain hum

mubtala us bala mein koi na ho

jis bala mein ki mubtala hain hum

mar kar bhi hamin pe pachhtaya

be-wafa tu ki be-wafa hain hum

jabha-sai se dushmani hai jise

usi ke dar pe jabha-sa hain hum

kaun rahbar ho ishq ki rah mein

aap hi apne rahnuma hain hum

hain to surat-parast aaina-dar

nek mani se aashna hain hum

aur diwana kaun hai 'joshish'

ya diwana tha qais ya hain hum

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Go Ki Mohtaj Hain Gada Hain Hum In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Go Ki Mohtaj Hain Gada Hain Hum is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Go Ki Mohtaj Hain Gada Hain Hum for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Go Ki Mohtaj Hain Gada Hain Hum in PDF.