Kya Bad-gumaniyan Hain Meri Jaan Lijiye

kya bad-gumaniyan hain meri jaan lijiye

ye dil to hai wahi ise pahchan lijiye

hum se to ye kabhi nahin hone ka naseho

suniye tumhaari baat ko aur man lijiye

ne aish ki talab hai na ishrat ki aarzu

ai charKH kis liye tera ehsan lijiye

gar hukm ho to kaT ke sar aage la rakhun

lene ka is ke rakhiye na arman lijiye

aaya hun tang shahr mein wahshat ke hath se

ji chahta hai rah-e-bayaban lijiye

gar imtihan-e-ishq ho manzur to abhi

karta hun main niyaz dil o jaan lijiye

munh dekh nau-KHaton ka yahi aae hai KHayal

de kar ke naqd-e-jaan ye quran lijiye

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Bad-gumaniyan Hain Meri Jaan Lijiye In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Kya Bad-gumaniyan Hain Meri Jaan Lijiye is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Kya Bad-gumaniyan Hain Meri Jaan Lijiye for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Kya Bad-gumaniyan Hain Meri Jaan Lijiye in PDF.