Kyun Kahun Qamat Ko Tere Ai But-e-raana Alif

kyun kahun qamat ko tere ai but-e-raana alif

aur kuchh KHubi nahin rakhta hai ek sidha alif

jaisa hai us barhaman zade ke qashqe ka alif

likh nahin sakta hai koi KHush-nawis aisa alif

jab se di talim-e-girya ustad-e-ishq ne

taKHta-e-sina pe tifl-e-ashk ne khincha alif

wasf-beni mein ye kya misra zaban par aa gaya

us ki bini hai buland aur us se hai chhoTa alif

gard hai naqsh-o-nigar-e-chin un ke ru-ba-ru

hain rida-e-faqr par is tarah ke zeba alif

qatl ko aashiq ke angusht-e-ishaarat kar buland

teri angusht-e-ishaarat hai shahadat ka alif

sar-kashi karta hai yun har aan mera nafs-e-shum

jis tarah se dam-ba-dam ho jae hai ghoDa alif

itne par bhi zat-e-wahid se hain ghafil naqisan

khinch raha hai mu-e-tan se tan pe sar-ta-pa alif

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Kahun Qamat Ko Tere Ai But-e-raana Alif In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Kyun Kahun Qamat Ko Tere Ai But-e-raana Alif is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Kyun Kahun Qamat Ko Tere Ai But-e-raana Alif for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Kyun Kahun Qamat Ko Tere Ai But-e-raana Alif in PDF.