Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai

lab par jo mere aah-e-gham-alud nahin hai

izhaar-e-mohabbat mujhe maqsud nahin hai

hum jaise faqiron ko to yun bhi na kahe wo

phir aaiyo kuchh is ghaDi maujud nahin hai

kahta hun main ye gabr o musalman ke munh par

wo abd nahin jis ka tu mabud nahin hai

narmae hai kis tarah se is aahan-e-dil ko

ye aah agar naghma-e-daud yahin hai

phirte hain kai qais se hairan o pareshan

is ishq ki sarkar mein bahbud nahin hai

tasir madad kijiyo ab sine mein apne

is nale se ek aah bhi afzud nahin hai

KHubi-e-ayaz aaphi nazar aa gai hoti

afsos tere ahd mein mahmud nahin hai

is aatish-e-furqat ke siwa dahr mein 'joshish'

dekha to kahin aatish-e-be-dud nahin hai

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai in PDF.