Nabud O Bud Ke Manzar Banata Rahta Hun

nabud o bud ke manzar banata rahta hun

main zard aag mein KHud ko jalata rahta hun

tere jamal ka sadqa ye aatish-e-raushan

charagh aab-e-rawan par bahata rahta hun

duaen us ke liye hain sadaen us ke liye

main jis ki rah mein baadal bichhata rahta hun

udas dhun hai koi un ghazal aankhon mein

diye ke sath jise gungunata rahta hun

ajib sust-rawi se ye din guzarte hain

main aasman pe shamen banata rahta hun

main uDta rahta hun nile samundaron mein kahin

so titliyon ke liye KHwab lata rahta hun

ye mujh mein phail raha hai jo iztirab-e-shadid

to phir ye tai hai use yaad aata rahta hun

(587) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nabud O Bud Ke Manzar Banata Rahta Hun In English By Famous Poet Kaami Shah. Nabud O Bud Ke Manzar Banata Rahta Hun is written by Kaami Shah. Read famous Poem Nabud O Bud Ke Manzar Banata Rahta Hun for youth and Student by Kaami Shah. Free Download Nabud O Bud Ke Manzar Banata Rahta Hun in PDF.