Abhi To Faisla Baqi Hai Sham Hone De

abhi to faisla baqi hai sham hone de

sahar ki oT mein mahtab-e-jaan ko rone de

teri nazar ke ishaare na raushni ban jaen

to phir ye raat kahan jugnuon ko sone de

bahut hua to hawaon ke sath ro lunga

abhi to zid hai mujhe kashtiyan Dubone de

hamare baad bhi kaam aaegi junun ki aag

ye aag zinda hai is ko na sard hone de

sadi se mangegi agli sadi hisab-e-gunah

mere sarishk ko lamhon ke dagh dhone de

ye gham mera hai to phir ghair se ilaqa kya

mujhe hi apni tamanna ka bar Dhone de

babul sabz hai bandhe hisar-e-naz 'ajmal'

mujhe bhi apni zamin mein chinar bone de

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi To Faisla Baqi Hai Sham Hone De In English By Famous Poet Kabir Ajmal. Abhi To Faisla Baqi Hai Sham Hone De is written by Kabir Ajmal. Read famous Poem Abhi To Faisla Baqi Hai Sham Hone De for youth and Student by Kabir Ajmal. Free Download Abhi To Faisla Baqi Hai Sham Hone De in PDF.