Apni Ana Se Bar-sar-e-paikar Main Hi Tha

apni ana se bar-sar-e-paikar main hi tha

sach bolne ki dhun thi sar-e-dar main hi tha

sazish rachi gai thi kuchh aisi mere KHilaf

har anjuman mein bais-e-azar main hi tha

sau kartabon se zaKHm lagae gae mujhe

shayad ki apne ahd ka shahkar main hi tha

lamhon ki baz-gasht mein sadiyon ki gunj thi

aur aagahi ka mujrim-e-izhaar main hi tha

tahzib ki ragon se Tapakte lahu mein tar

dahliz mein paDa hua aKHbar main hi tha

'ajmal' safar mein sath rahin yun saubaten

jaise ki har saza ka saza-war main hi tha

(678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Ana Se Bar-sar-e-paikar Main Hi Tha In English By Famous Poet Kabir Ajmal. Apni Ana Se Bar-sar-e-paikar Main Hi Tha is written by Kabir Ajmal. Read famous Poem Apni Ana Se Bar-sar-e-paikar Main Hi Tha for youth and Student by Kabir Ajmal. Free Download Apni Ana Se Bar-sar-e-paikar Main Hi Tha in PDF.