Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho

gum-shuda tanhaiyon ki raaz-dan achchhi to ho

main yahan achchha nahin hun tum wahan achchhi to ho

waqt-e-ruKHsat bhige bhige in darichon ki qasam

nur-paikar chand-surat gulistan achchhi to ho

thartharaate kanpte honTon ko aaya kuchh sukun

ai zaban rakhte hue bhi be-zaban achchhi to ho

dhup ne jab aarzu ke jism ko nahla diya

ban gai thin tum wafa ka saeban achchhi to ho

raat bhar chille wazife wo tahajjud aur fajr

mil gaya ab to sila ai meri man achchhi to ho

is zamane mein jab apnon ka bharosa ho fareb

sochti rahti ho main jaun kahan achchhi to ho

jhilmilate hain sitare raat ko palkon pe jab

chand se sunti ho meri dastan achchhi to ho

wo tumhaari ek saheli ban gai thi jo dulhan

us se KHat likh kar kabhi puchha nihan achchhi to ho

jab kahin jao to likh dena mujhe apna pata

puchhne warna main jaunga kahan achchhi to ho

tum sada achchhi raho 'azar' ki hai bas ye dua

fasle sadiyon ke hain ab darmiyan achchhi to ho

(529) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho in PDF.