Raat-bhar Chand Ki Galiyon Mein Phiraati Hai Mujhe

raat-bhar chand ki galiyon mein phiraati hai mujhe

zindagi kitne hasin KHwab dikhati hai mujhe

in dinon ishq ki fursat hi nahin hai warna

us dariche ki udasi to bulati hai mujhe

toD deta hun ki ye bhi kahin dhoka hi na ho

jam mein jab teri surat nazar aati hai mujhe

din isi farq ke jangal mein guzar jata hai

raat yaadon ka wahi zahr pilati hai mujhe

sath jis rose se chhuTa hai kisi ka 'azar'

jaise kamre ki har ek chiz Daraati hai mujhe

(542) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat-bhar Chand Ki Galiyon Mein Phiraati Hai Mujhe In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Raat-bhar Chand Ki Galiyon Mein Phiraati Hai Mujhe is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Raat-bhar Chand Ki Galiyon Mein Phiraati Hai Mujhe for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Raat-bhar Chand Ki Galiyon Mein Phiraati Hai Mujhe in PDF.