Sukun ThoDa Sa Paya Dhup Ke ThanDe Makanon Mein

sukun thoDa sa paya dhup ke ThanDe makanon mein

bahut jalne laga tha jism barfili chaTanon mein

kab aaoge ye ghar ne mujh se chalte waqt puchha tha

yahi aawaz ab tak gunjti hai mere kanon mein

janaza meri tanhai ka le kar log jab nikle

main KHud shamil tha apni zindagi ke nauha-KHwanon mein

meri mahrumiyan jab pattharon ke shahr se guzrin

chhupaya sar teri yaadon ke TuTe saebanon mein

mujhe meri ana ke KHanjaron ne qatl kar Dala

bahana ye bhi ek bechaargi ka tha bahanon mein

tamasha hum bhi apni bebasi ka dekh lete hain

teri yaadon ke phulon ko saja kar phul-danon mein

zamin pairon ke chhaale roz chun leti hai palkon se

taKHayyul roz le uDta hai mujh ko aasmanon mein

main apne-ap se har dam KHafa rahta hun yun 'azar'

purani dushmani ho jis tarah do KHandanon mein

(471) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukun ThoDa Sa Paya Dhup Ke ThanDe Makanon Mein In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Sukun ThoDa Sa Paya Dhup Ke ThanDe Makanon Mein is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Sukun ThoDa Sa Paya Dhup Ke ThanDe Makanon Mein for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Sukun ThoDa Sa Paya Dhup Ke ThanDe Makanon Mein in PDF.