Agarche Hadse Guzre Hain Paniyon Ki Tarah

agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah

KHamosh rah gae hum log sahilon ki tarah

kisi ke samne main kis liye zaban kholun

mili hai apni ana mujh ko dushmanon ki tarah

tere baghair nazar aae hain mujhe aksar

makan ke dar-o-diwar qatilon ki tarah

na jaane kaun si manzil ko chal diye patte

bhaTak rahi hain hawaen musafiron ki tarah

hamin ne khol ke lab ruh phunk di warna

tamam harf the be-jaan pattharon ki tarah

main ro raha tha shab-e-gham ki zulmaton se bahut

KHuda ka shukr jale zaKHm mishalon ki tarah

yahi to 'kaif' hasad hai ki dil bhi yaron ke

siyah ho gae likkhe hue KHaton ki tarah

(637) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agarche Hadse Guzre Hain Paniyon Ki Tarah In English By Famous Poet Kaif Ansari. Agarche Hadse Guzre Hain Paniyon Ki Tarah is written by Kaif Ansari. Read famous Poem Agarche Hadse Guzre Hain Paniyon Ki Tarah for youth and Student by Kaif Ansari. Free Download Agarche Hadse Guzre Hain Paniyon Ki Tarah in PDF.