Tere Hasin Jism Ki Phulon Mein Boss Hai

tere hasin jism ki phulon mein boss hai

go wahm hai ye wahm qarin-e-qayas hai

wo ashk jis pe chandni-shab ka libas hai

shayad kitab-e-gham ka koi iqtibas hai

meri tarah har ek ko hai chahat usi ki phir

guzre dinon ke zahar mein kitni miThas hai

barson guzar gae magar ab tak nahin bujhi

kitni ajib ret ke sahil ki pyas hai

meri sada khich is tarah aai hai lauT kar

mahsus ho raha hai koi aas-pas hai

bunden paDen to aur ziyaada hui tapish

shayad isi ka nam zamin ki bhaDas hai

apne gharon mein KHush hain charaghon ko le ke log

kis ko KHabar ki raat ka chehra udas hai

dhundla sa zard mazi ka ho jis tarah waraq

kitna hasin aap ka rang-e-libas hai

kis waqt 'kaif' TuT ke gir jae kya KHabar

palkon pe ek halqa-e-zanjir-e-yas hai

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Hasin Jism Ki Phulon Mein Boss Hai In English By Famous Poet Kaif Ansari. Tere Hasin Jism Ki Phulon Mein Boss Hai is written by Kaif Ansari. Read famous Poem Tere Hasin Jism Ki Phulon Mein Boss Hai for youth and Student by Kaif Ansari. Free Download Tere Hasin Jism Ki Phulon Mein Boss Hai in PDF.