Tan-e-tanha Muqabil Ho Raha Hun Main Hazaron Se

tan-e-tanha muqabil ho raha hun main hazaron se

hasinon se raqibon se ghamon se gham-gusaron se

unhen main chhin kar laya hun kitne dawedaron se

shafaq se chandni raaton se phulon se sitaron se

sune koi to ab bhi raushni aawaz deti hai

pahaDon se guphaon se bayabanon se ghaaron se

hamare dagh-e-dil zaKHm-e-jigar kuchh milte-julte hain

gulon se gul-ruKHon se mah-washon se mah-paron se

kabhi hota nahin mahsus wo yun qatl karte hain

nigahon se kanakhiyon se adaon se ishaaron se

hamesha ek pyasi ruh ki aawaz aati hai

kuon se panghaTon se naddiyon se aabshaaron se

na aae par na aae wo unhen kya kya KHabar bheji

lifafon se KHaton se dukh bhare parchon se taron se

zamane mein kabhi bhi qismaten badla nahin kartin

umidon se bharoson se dilason se sahaaron se

wo din bhi hae kya din the jab apna bhi talluq tha

dashahre se diwali se basanton se bahaaron se

kabhi patthar ke dil ai 'kaif' pighle hain na pighlenge

munajaton se fariyaadon se chiKHon se pukaron se

(1072) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tan-e-tanha Muqabil Ho Raha Hun Main Hazaron Se In English By Famous Poet Kaif Bhopali. Tan-e-tanha Muqabil Ho Raha Hun Main Hazaron Se is written by Kaif Bhopali. Read famous Poem Tan-e-tanha Muqabil Ho Raha Hun Main Hazaron Se for youth and Student by Kaif Bhopali. Free Download Tan-e-tanha Muqabil Ho Raha Hun Main Hazaron Se in PDF.