Nae KHake
nuqush-e-hasrat miTa ke uThna, KHushi ka parcham uDa ke uThna
mila ke sar baiThna mubarak tarana-e-fath ga ke uThna
ye guftugu guftugu nahin hai bigaDne banne ka marhala hai
dhaDak raha hai faza ka sina ki zindagi ka muamla hai
KHizan rahe ya bahaar aae tumhaare hathon mein faisla hai
na chain be-tab bijliyon ko na mutmain karwan-e-shabnam
kabhi shagufon ke garm tewar kabhi gulon ka mizaj barham
shagufa o gul ke is tasadum mein gulsitan ban gaya jahannam
saja len sab apni apni jannat ab aise KHake bana ke uThna
KHazana-e-rang-o-nur tarik rahguzaron mein luT raha hai
urus-e-gul ka ghurur-e-ismat siyahkaron mein luT raha hai
tamam sarmaya-e-latafat zalil KHaron mein luT raha hai
ghuTi ghuTi hain numu ki sansen chhuTi chhuTi nabz-e-gulistan hai
hain gursana phul, tishna ghunche, ruKHon pe zardi labon pe jaan hai
asir hain ham-safir jab se KHizan chaman mein rawan-dawan hai
is intishaar-e-chaman ki saugand bab-e-zindan hila ke uThna
hayat-e-giti ki aaj badli hui nigahen hain inqilabi
ufuq se kirnen utar rahi hain bikherti nur-e-kaamyabi
nai sahar chahti hai KHwabon ki bazm mein izn-e-baryabi
ye tirgi ka hujum kab tak ye yas ka azhdaham kab tak
nifaq o ghaflat ki aaD le kar jiyega murda nizam kab tak
rahenge hindi asir kab tak rahega bhaarat ghulam kab tak
gale ka tauq aa rahe qadam par kuchh is tarah tilmila ke uThna
(897) Peoples Rate This