Nai Subh
ye sehhat-baKHsh taDka ye sahar ki jalwa-samani
ufuq sara bana jata hai daman-e-chaman jaise
chhalakti raushni tarikiyon pe chhai jati hai
uDae naziyat ki lash par koi kafan jaise
ubalti surKHiyon ki zad pe hain halqe siyahi ke
paDi ho aag mein bikhri ghulami ki rasan jaise
shafaq ki chadaren rangin faza mein thartharaati hain
uDae lal jhanDa ishtiraki anjuman jaise
chali aati hai sharmai lajai hur-e-bedari
bhare ghar mein qadam tham tham ke rakhti hai dulhan jaise
faza gunji hui hai subh ke taza taranon se
surud-e-fath par hain surKH faujen naghma-zan jaise
hawa ki narm lahren gudgudati hain umangon ko
jawan jazbaat se karta ho chuhlen bankpan jaise
ye sada sada gardun pe tabassum-afrin suraj
pai-dar-pai kaamyabi se ho stalin magan jaise
sahar ke aaine mein dekhta hun husn-e-mustaqbil
utar aai hai chashm-e-shauq mein 'kaifi' kiran jaise
(1325) Peoples Rate This