Jab KHema-zano! Zor Hawaon Ka GhaTega

jab KHema-zano! zor hawaon ka ghaTega

KHun meri hatheli ka tanabon pe malega

ho pyas to KHud apne hi honTon ka lahu chus

sukhi hui jhilon mein tujhe kuchh na milega

jalte hue raston ke liye dekh liya kar

khiDki na khulegi to dhuan aur ghuTega

basti mein gharibon ki jahan aag lagi thi

sunte hain wahan ek naya shahr basega

peDon ki agar nasl-kushi KHatm nahin ki

kuchh din mein yahan peDon ka saya bhi bikega

bas aag ubal sakti hain ye murda zaminen

bekar si koshish hai yahan kuchh na ugega

wo murda-dili sham se pahle ki ada thi

is waqt to 'kaifi' kisi maqtal mein milega

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab KHema-zano! Zor Hawaon Ka GhaTega In English By Famous Poet Kaifi Wajdani. Jab KHema-zano! Zor Hawaon Ka GhaTega is written by Kaifi Wajdani. Read famous Poem Jab KHema-zano! Zor Hawaon Ka GhaTega for youth and Student by Kaifi Wajdani. Free Download Jab KHema-zano! Zor Hawaon Ka GhaTega in PDF.