Bulate Kyun Ho Aajiz Ko Bulana Kya Maza De Hai

bulate kyun ho 'ajiz' ko bulana kya maza de hai

ghazal kam-baKHt kuchh aisi paDhe hai dil hila de hai

mohabbat kya bala hai chain lena hi bhula de hai

zara bhi aankh jhapke hai to betabi jaga de hai

tere hathon ki surKHi KHud subut is baat ka de hai

ki jo kah de hai diwana wo kar ke bhi dikha de hai

ghazab ki fitna-sazi aae hai us aafat-e-jaan ko

shararat KHud kare hai aur hamein tohmat laga de hai

meri barbaadiyon ka Dal kar ilzam duniya par

wo zalim apne munh par hath rakh kar muskura de hai

ab insanon ki basti ka ye aalam hai ki mat puchho

lage hai aag ek ghar mein to ham-saya hawa de hai

kaleja tham kar sunte hain lekin sun hi lete hain

mere yaron ko mere gham ki talKHi bhi maza de hai

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bulate Kyun Ho Aajiz Ko Bulana Kya Maza De Hai In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Bulate Kyun Ho Aajiz Ko Bulana Kya Maza De Hai is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Bulate Kyun Ho Aajiz Ko Bulana Kya Maza De Hai for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Bulate Kyun Ho Aajiz Ko Bulana Kya Maza De Hai in PDF.