Raat Ko Pahlu Mein Ek Taswir Raushan Ho Gai

raat ko pahlu mein ek taswir raushan ho gai

KHwab to dekha nahin tabir raushan ho gai

us but-e-kafir ko jo dekha bahut nazdik se

naqsh-gar ki shoKHi-e-tahrir raushan ho gai

dasht-e-wahshat mein ghubar-e-naqa-e-laila to hai

hasrat ai pa-e-junun zanjir raushan ho gai

zaKHm-e-naumidi charaghan kar rahe hain zist mein

dagh kya raushan hue taqdir raushan ho gai

us ki aankhon mein umaD aaya sitaron ka hujum

gul-kade mein shauq ki tanwir raushan ho gai

aarzuen sab shikasta KHwab sare munhadim

mere ghar mein raunaq-e-tamir raushan ho gai

saz-e-dil-dari pe naghma-zan hui sham-e-visal

mauj-e-gul ki KHubi-e-taqrir raushan ho gai

raqs farmane lage sab ranj-o-gham soz-o-alam

sham-e-mina jal uThi tasir raushan ho gai

umr-e-zindan mein guzari par 'nadim' itna to hai

mashal-e-KHurshid se zanjir raushan ho gai

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ko Pahlu Mein Ek Taswir Raushan Ho Gai In English By Famous Poet Kamran Nadeem. Raat Ko Pahlu Mein Ek Taswir Raushan Ho Gai is written by Kamran Nadeem. Read famous Poem Raat Ko Pahlu Mein Ek Taswir Raushan Ho Gai for youth and Student by Kamran Nadeem. Free Download Raat Ko Pahlu Mein Ek Taswir Raushan Ho Gai in PDF.