Rida-e-jaan Pe Dohra Azab Bunta Hun

rida-e-jaan pe dohra azab bunta hun

main rose jagti aankhon mein KHwab bunta hun

KHayal-e-husn ki maKHmal pe tar-e-imkan se

kabhi gulab kabhi mahtab bunta hun

ghubar-e-KHatir-e-paiham se bujh bhi jaun agar

shab-e-siyah mein koi aaftab bunta hun

libas-e-shauq to muddat ka tar-tar hua

qaba-e-dard pe ab pech-o-tab bunta hun

tilism-e-zulf ki lahren Dubo hi deti hain

kanar-e-sham jab mauj-e-sharab bunta hun

kabhi main baam-e-mah-e-nau pe Dalta hun kamand

kabhi main KHema-e-shahr-e-hijab bunta hun

sulag uThe hai jo sahra bhi pa-e-wahshat se

to kar-gah-e-junun par sahab bunta hun

jab ek KHwab ka maKHmal ho tar-tar 'nadim'

main dasht-e-wahm mein phir ek sarab bunta hun

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rida-e-jaan Pe Dohra Azab Bunta Hun In English By Famous Poet Kamran Nadeem. Rida-e-jaan Pe Dohra Azab Bunta Hun is written by Kamran Nadeem. Read famous Poem Rida-e-jaan Pe Dohra Azab Bunta Hun for youth and Student by Kamran Nadeem. Free Download Rida-e-jaan Pe Dohra Azab Bunta Hun in PDF.