Parakh Faza Ki Hawa Ka Jise Hisab Bhi Hai

parakh faza ki hawa ka jise hisab bhi hai

wo shaKHs sahab-e-fan bhi hai kaamyab bhi hai

jo rup aai ko achchha lage wo apna len

hamari shaKHsiyat kanTa bhi hai gulab bhi hai

hamara KHun ka rishta hai sarhadon ka nahin

hamare KHun mein ganga bhi hai chanab bhi hai

hamara daur andheron ka daur hai lekin

hamare daur ki muTThi mein aaftab bhi hai

kisi gharib ki roTi pe apna nam na likh

kisi gharib ki roTi mein inqilab bhi hai

mera sawal koi aam sa sawal nahin

mera sawal teri baat ka jawab bhi hai

isi zamin par hain aaKHiri qadam apne

isi zamin mein boya hua shabab bhi hai

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parakh Faza Ki Hawa Ka Jise Hisab Bhi Hai In English By Famous Poet Kanval Ziai. Parakh Faza Ki Hawa Ka Jise Hisab Bhi Hai is written by Kanval Ziai. Read famous Poem Parakh Faza Ki Hawa Ka Jise Hisab Bhi Hai for youth and Student by Kanval Ziai. Free Download Parakh Faza Ki Hawa Ka Jise Hisab Bhi Hai in PDF.