Dast-bardar Zindagi Se Hua

dast-bardar zindagi se hua

aur ye sauda meri KHushi se hua

aagahi bhi na kar saki pura

jitna nuqsan aagahi se hua

main hua bhi to ek din raushan

apne andar ki raushni se hua

zindagi mein kasak zaruri thi

ye KHala pur teri kami se hua

dil tarafdar-e-hijr tha hi nahin

ab hua bhi to be-dili se hua

shor jitna hai kaenat mein shor

mere andar ki KHamushi se hua

kaisa mansab hai aadmi ka ki rab

jab muKHatib hua usi se hua

peD ho ya ki aadmi 'ghaer'

sar-buland apni aajizi se hua

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dast-bardar Zindagi Se Hua In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Dast-bardar Zindagi Se Hua is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Dast-bardar Zindagi Se Hua for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Dast-bardar Zindagi Se Hua in PDF.