Sair Karne Se Hawa Lene Se

sair karne se hawa lene se

kaam hai dil ko maza lene se

dhup sae ki tarah phail gai

in daraKHton ki dua lene se

is tarah haal koi chhupta hai

is tarah zaKHm chhupa lene se

koi maqbul dua hoti hai

sirf hathon ko uTha lene se

mere jaisa wo nahin ho sakta

mera andaz chura lene se

raat kuchh achchhi guzar jati hai

chand ko chhat pe bula lene se

waqt be-waqt ka aazar mila

waqt ko sath laga lene se

aaj bhi nam wahi hai apna

kya hua nam kama lene se

(602) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sair Karne Se Hawa Lene Se In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Sair Karne Se Hawa Lene Se is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Sair Karne Se Hawa Lene Se for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Sair Karne Se Hawa Lene Se in PDF.