Tera KHayal Teri Tamanna Tak Aa Gaya

tera KHayal teri tamanna tak aa gaya

main dil ko DhunDhta hua duniya tak aa gaya

kya itna baDh gaya meri tishna-labi ka shor

sailab dekhne mujhe sahra tak aa gaya

lekin KHizan ki nazr kiya aaKHiri gulab

har-chand is mein mujh ko pasina tak aa gaya

aage rah-e-firaq mein aana hai aur kya

aankhon ke aage aaj andhera tak aa gaya

kya irtiqa-pazir hai insan ka zamir

rishton ko chhoD-chhaD ke ashya tak aa gaya

lekin kisi dariche se jhanka na koi raat

sun kar meri pukar sitara tak aa gaya

'kashif'-husain yar uTho ab to chal paDo

chal kar tumhaare panw mein rasta tak aa gaya

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera KHayal Teri Tamanna Tak Aa Gaya In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Tera KHayal Teri Tamanna Tak Aa Gaya is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Tera KHayal Teri Tamanna Tak Aa Gaya for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Tera KHayal Teri Tamanna Tak Aa Gaya in PDF.