Jaane Kis KHwab-e-pareshan Ka Hai Chakkar Sara

jaane kis KHwab-e-pareshan ka hai chakkar sara

bikhra bikhra hua rahta hai mera ghar sara

mutmain hum the bahut jit hamari hogi

kaise phir aa gaya narghe mein ye lashkar sara

baada-e-gham se hai sarshaar mera baatin bhi

aur isi gham se ujala hai ye bahar sara

main ne mangi thi dua TuT ke barse baadal

ab jo barsa hai to barsa hai ye chhappar sara

mausam-e-abr ki to baat yunhi aai thi

kyun sharabor hua aap ka paikar sara

main ne socha ki sataegi bahut pyas mujhe

pi gaya jhonk mein bas aa ke samundar sara

(652) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Kis KHwab-e-pareshan Ka Hai Chakkar Sara In English By Famous Poet Kausar Mazhari . Jaane Kis KHwab-e-pareshan Ka Hai Chakkar Sara is written by Kausar Mazhari . Read famous Poem Jaane Kis KHwab-e-pareshan Ka Hai Chakkar Sara for youth and Student by Kausar Mazhari . Free Download Jaane Kis KHwab-e-pareshan Ka Hai Chakkar Sara in PDF.