Chand Lamhon Ke Liye Ek Mulaqat Rahi

chand lamhon ke liye ek mulaqat rahi

phir na wo tu na wo main aur na wo raat rahi

kurra-e-arz ne dekha hi na tha wo KHurshid

jis ki gardish mein shab o roz meri zat rahi

ab to har shaKHs ujalon mein khaDa hai uryan

kaun si shakl pas-e-parda-e-zulmat rahi

sard-mehri mere lahje mein bhi hogi lekin

tujh mein KHud bhi to na pahli si koi baat rahi

haal-e-dil us ko suna kar hai bahut KHush 'kausar'

lekin ab soch zara kya teri auqat rahi

(1041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Lamhon Ke Liye Ek Mulaqat Rahi In English By Famous Poet Kausar Niyazi. Chand Lamhon Ke Liye Ek Mulaqat Rahi is written by Kausar Niyazi. Read famous Poem Chand Lamhon Ke Liye Ek Mulaqat Rahi for youth and Student by Kausar Niyazi. Free Download Chand Lamhon Ke Liye Ek Mulaqat Rahi in PDF.