Girte Hue Jab Maine Tera Nam Liya Hai

girte hue jab main ne tera nam liya hai

manzil ne wahin baDh ke mujhe tham liya hai

mai-KHwar to hai mohtasib-e-shahr ziyaada

rindon ne yunhi muft mein ilzam liya hai

wo mil na sake yaad to hai un ki salamat

is yaad se bhi hum ne bahut kaam liya hai

har marhala-e-gham mein mili is se tasalli

har moD pe ghabra ke tera nam liya hai

tujh sa koi rahbar nahin ai duri-e-manzil

ehsan tera hum ne bahr-gam liya hai

ai shaiKH dil-e-saf yunhi to nahin milta

hum ne asar-e-ru-e-dil-aram liya hai

sajdon mein wo pahli se halawat nahin 'kausar'

jab se asar-e-gardish-e-ayyam liya hai

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Girte Hue Jab Maine Tera Nam Liya Hai In English By Famous Poet Kausar Niyazi. Girte Hue Jab Maine Tera Nam Liya Hai is written by Kausar Niyazi. Read famous Poem Girte Hue Jab Maine Tera Nam Liya Hai for youth and Student by Kausar Niyazi. Free Download Girte Hue Jab Maine Tera Nam Liya Hai in PDF.