Patthar Bana Kar Arsh Se Phenka Gaya Tha Ek Main
patthar bana kar arsh se phenka gaya tha ek main
shayad KHuda se pahle hi puja gaya tha ek main
taKHliq-kari mein tujhe hasil mahaarat hai magar
kis inhimak-o-shauq se socha gaya tha ek main
tifli se piri tak mere ahwal sun lena kabhi
waqt-e-wiladat hi bahut kosa gaya tha ek main
naqsh-e-qadam bhi aap ka ek sanp ka phan hi laga
saya-numa KHanjar se hi mara gaya tha ek main
din sa-re-ga-ma mein kaTa shab pa-dha-ni-sa mein kaTi
nikli surili ek wo kan aashna tha ek main
kashkol bhi ban jaegi ek rose apni khopaDi
miTTi ke bartan ki tarah barta gaya tha ek main
gaek hua shair hua aashiq hua sufi hua
diwane-pan ki had na thi kya kya bana tha ek main
kya tum hi 'kawish' ho miyan kuchh eatibar aata nahin
allah-miyan hi ek hain kahte ho kyun tha ek main
(813) Peoples Rate This