Raat Bhi Humne Ro-ro KaTi Din Bhi So Ke KHarab Kiya

raat bhi hum ne ro-ro kaTi din bhi so ke KHarab kiya

khulne wali aankhon ko bhi amdan mahw-e-KHwab kiya

ek hi roTi ko dho dho kar pite rahe hum sham-o-sahar

sari umr mein shayad hum ne ek hi kar-e-sawab kiya

rizq to hai maqsum hamara us ko dua ki hajat kyun

Dhank ke chehra dast-e-dua se hum ne KHud se KHitab kiya

us ki nazar se tir jo nikla Thik nishane par baiTha

ghayal aahu ban kar hum ne ban ban ko shadab kiya

ashk baha dene ke hunar mein sani us ka koi nahin

ek din hanste hanste us ne sab ko tah-e-sailab kiya

bachpan mein dekha tha hum ne man ka chehra yaad nahin

bu-ali-sina ban kar hum ne us ke ruKH ko kitab kiya

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Bhi Humne Ro-ro KaTi Din Bhi So Ke KHarab Kiya In English By Famous Poet Kavish Badri. Raat Bhi Humne Ro-ro KaTi Din Bhi So Ke KHarab Kiya is written by Kavish Badri. Read famous Poem Raat Bhi Humne Ro-ro KaTi Din Bhi So Ke KHarab Kiya for youth and Student by Kavish Badri. Free Download Raat Bhi Humne Ro-ro KaTi Din Bhi So Ke KHarab Kiya in PDF.