Sang Aur KHisht-e-malamat Se Bacha Lo Mujhko

sang aur KHisht-e-malamat se bacha lo mujh ko

apne darbar ki diwar bana lo mujh ko

para-para ho ana aur sar-e-maghrur fana

gend ki tarah fazaon mein uchhaalo mujh ko

luqma-e-tar ne mere nafs ko barbaad kiya

yaad karte raho kankar ke niwalo mujh ko

jaane kis qabr ka hai paikar-e-KHali mera

main khilauna hun to bas toD hi Dalo mujh ko

dasht-e-pur-KHar mein hun ek shajar-e-KHam abhi

apni dahliz ka taKHta hi bana lo mujh ko

ek nazar ek nazar ek nazar ek nazar

sirf duzdida-nazar Dal ke Talo mujh ko

'kawisham' kya hai samajh mein kabhi aa jaega

gham-zada git samajh kar kabhi ga lo mujh ko

(712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sang Aur KHisht-e-malamat Se Bacha Lo Mujhko In English By Famous Poet Kavish Badri. Sang Aur KHisht-e-malamat Se Bacha Lo Mujhko is written by Kavish Badri. Read famous Poem Sang Aur KHisht-e-malamat Se Bacha Lo Mujhko for youth and Student by Kavish Badri. Free Download Sang Aur KHisht-e-malamat Se Bacha Lo Mujhko in PDF.